منگل، 5 مارچ، 2013

RAAZ KI BATEIN ZUNAAN PAY LAYA NAHI...

Raaz ki batein zubaan pay laya nahi kartay,
Jis say ho muhabat usay aazmaya nahi kartay.

Sehra ho, jangal ho, k ho andheri raat,
ehl-e-dil say kbhi kinara nahi kartay.

shishay or dil ka muqaddar tutna hi hai!
in k liye pathar hathon mein uthya nahi kartay.

nachtay hain gali gali paon mein bandh k ghugru,
dil k hathon mahjboor kya kay nahi kartay.

chhor jatay hain jo bich rastay mein,
aese logon say hum dil lagaya nahi kartay.

Ye wo rasta hai k jis pay chaltay jana hai,
is safar mein ghari bhar ruknay k maqam aya nahi kartay.

Jo mil jay usi ko ghanimat jano,
hath lagay jo khazana usay ganwaya nahi kartay.

char din k hain sab yahan mehman Adarsh,
ye maskan nahi apna, yahan ghar banaya nahi kartay.

کوئی تبصرے نہیں:

ایک تبصرہ شائع کریں