Tere hukam kay aagay hum kya kartay,
agar milti ijazat to hum bhi piya kartay.
Guzar to rahay hain tere bagher bhi din apnay,
kya bura tha agar tum bhi sath chala kartay.
Hum nay to khud chuna hai ye rasta warna,
oron ki tarah hum bhi bewafa kaha kartay.
Tere shehar kay to sab ghar roshan thay,
dar hota kisi ka waa to hi sada kartay!
Apna hi shoq kuch doob jana tha,
so nakhuda kis ko hum tere siwa kartay?
Barsat hui thi itni achanak Adarsh,
sanbhal janay ki tadbeer kya kartay?
کوئی تبصرے نہیں:
ایک تبصرہ شائع کریں