بدھ، 13 فروری، 2013

APNA HI ASHIYAN JALA K ROTE HAIN....

Apna hi ashiyan jala k rote hain,
tujh ko aaina dikha k rote hain.

Duaein mangte rahe tere wisaal ki,
mil gae ho, ab tujhe pa k rote hain.

Bar ha guzar chuke hain is tajarbe se,
har bar wo nazrein jhuka k rote hain.

Kon kis se kare ga muhabat is k ba`ad,
Ab to ye haal hai k ma`ni wafa k rote hain.

Tu ne to keh diya faqat "hoon" mgr hum,
har shab tere naam ki shama jala k rote hain.

Kuch na badli apni to zindgi Adarsh ,    
teri bazam mein b aa k rote hain.


کوئی تبصرے نہیں:

ایک تبصرہ شائع کریں